Tuesday, April 15, 2008

Shikayat (Not mine)

Meri ghazal ko shikaayat hai mere sheron say,
Jude hue hain is Qadr kyun andheron say.

Main chaahtaa to bahut tha ki us se baat karoon,
Woh is tarh se magar ghir gayi thi gairon se.

Gali ke mod tak to aagayi thi meri khushi,
Zaraa sa faasala bhi tai hua na pairon se.

Koi sawaal uthaaye to main jawaab bhi doon,
Nahi to kaunsi zubaan boloon beharon se.

Har ek baat ka matalab nikaalata hai woh,
Khudaa nijaat dilaa de ye shaq ke pehaaron se.

Jo ho rahaa hai tamaasha abhi to hone do,
Utaar denge ek din naqab chehron se.

Gale milo ki milo to zara khushi se milo,
Milaa hai kya kisi ko besabab ke bairon se.

Ki tikk gayi ho jab nazar kisiki manzil par,
Ussay hai wasta kya raston ke deron se.

Hai LakhoN motiyon se keemati tumhari hansi.
Zara sambhal ke rakhanaa issay luteron se.